|
Ayya musarat ka peghaam k tariq mamu ban gaya,
vird_e_zuban hay khas_o_Aam k tariq mamu ban gaya.
Qtaar dar qtaar mubarak de ne k liyeh,
Khari hay awaam k tariq mamu ban gaya.
Khushiyan manao karo ehtmaam jashn ka,
Ay baradran_e_islam k tariq mamu ban gaya.
Rahe saroor_e_meh suboh tak baqi dosto,
piyo jaam py jaam k tariq mamu ban gaya.
Bush_o_musharaf ki manind deta zroor koee ezaaz,
Gar aaj hota saddam k tariq mamu ban gaya.
Koee beyahi na abhi, sab kanwariyan thein magar,
Hairat ka hay maqaam k tariq mamu ban gaya.
Jo poocha hum ne to sainkru haath uth gay,
kis lofar ka hay ye kaam k tariq mamu ban gaya.
Akhir kuch tum hi bolo ay hamsheer_e_tariq,
kiyaa ye kis ne ehtmaam k tariq mamu ban gaya.
Dosti main dosto zara takalluf hona chahiye ,
Tariq ka dekho anjaam k tariq mamu ban gaya.
Us ghar main ana jana tha hamara b afsos,
so muft main huwy badnam k tariq mamu ban gaya.
hamein to maaf rakho iss mamle mein mat ghaseeto,
Koee de na RAZA k sar ilzaam k tariq mamu ban gaya.
Aap ko meri yeh nazam kaisee lagi. mujhy aap ki mails ka intzaar rahe ga.
M.Hussnain Raza
|